Search Results

Saturday, August 30, 2014

Tumhara Pyar

Zindagi main jab se aaye ho
Zindagi ban gaye ho tum
Andhere main ruki thi zindagi
Ujala ban gaye ho tum

Kya batayein tumhein
Kitna tumse humein pyar hai
Sach kehte hain
Tumhari ek nazar aur zindagi main bahaar hai

Waqt se hue the mehroom
Bas tumhara intezaar hai
Khush kismat hain hum
Jo zindagi main tum jaisa yaar hai

Shabd nahi hain woh
Jo kar sakein yeh izhaar hai
Dil main bas chuke ho tum
Haan yeh tumhara pyar hai