Search Results

Wednesday, March 28, 2007

Late

Although we r away, our feelings r still together
And so even if I die today, our souls shall live forever
Our love is meant to be, this I shall forever continue to believe
Even if it takes my lifetime for you to come, I'll consider it my destiny

As the days pass by, my loneliness comes back haunting me
And the more I abide, the more the world keeps on taunting me
Yet it doesn't affect me because I know they will be ridiculed
For the day that you come back to me, they won't be daunting me

The scent of your beauty still resides within my heart
Making me rebel this world, hoping for a whole new start
But alas my efforts would be in vain, unless you come back
'Coz I can't exist without you, you are my soul's essential part

You have heard my pleadings, now I can only continue to wait
That one day you will be back, there won't be any more hate
People tell me that I'm wasting my life, that its all over
Yet I listen to my heart that you will be back, even if its too late...

Tuesday, March 27, 2007

Jeevan Ki Aas

Aaj phir sapno main, unki humein hai bahut yaad aayi
Unhi ki khatir, yeh aankhen aansoon bhi na baha paayi
Par kya karoon hai meri kashmakash ki unse keh na sakoon
Zindagi to zindagi, maut se bhi na hoga kam mera yeh junoon

Maangi thi chahat to mohalat humein mili
Chahi thi apni tabahi to shohrat humein mili
Aawargi se meri, mujhe zillat bhi mili
Phir akhir kyon e-khuda, mujhe unki mohabbat na mili

Gham unke jaane ka nahi, aas unke aane ki hai
Vishwaas unko paane ka nahi, saansein unhe dene ki hai
Jinke sahare jeete hain, unki nazron main zindagi kat jaane ki hai
Zindagi mein nahi to kya, maut se apni roohein nibhaane ki hai

Dard-e-dil ka haal bayaan kar paana nahi aasaan
Raeth ke tilo main jaise bhatak raha ho pyasa
Bas is umeed par jeeta, ki koi le chale kuen ke paas
Tum hoge woh, hai mujhe vishwaas, aur yehi hai mere jeevan ki aas

Monday, March 12, 2007

Qabool

Teri chahat ko samarpit meri yeh zindagi hai
Teri har aahat ko sunna, meri tishnagi hai
Teri muskurahaton ko dekhna, meri khush-naseebi hai
Teri yaadon ko sametna, haan yeh bhi meri bekhudi hai

Zindagi yeh aasaan nahi, tujh bin e humsafar
Deewangi ka nasha chaya hai, mujh par kuch is kadar
Mannat hai yeh meri, saath rahein hum zindagi bhar
Yaadon mein, khwabon mein tere, beet jaati hai sehar

Ek saaya sa hai mujh par, jo rakhta hai duur humko
Tumse is pyar ka zikr na kar paoon, pata hai yeh sabko
Isliye subah shaam yaad karta rehta hoon main us rab ko
Ki ab to tu hi bata de, mere humdam, mere shab ko

Is pyar ke ehsaas ka hai duniya main koi mool nahi
Yeh pyar hai meri saadgi, yeh koi shool nahi
Isse paana hai meri kashish, yeh koi maqbool nahi
Issi ki khatir mar jaoonga, phir chahe usse yeh qabool nahi

Hanging By A Rope

That beautiful glow that shines through your eyes
Resides within my memories, where my feelings arise
Yet every new day, comes with its own surprise
So now I'm waiting for the day, when it'll be my demise

For being without you, is like not being at all
Like walking on a cliff, only waiting to fall
Like the very moment when even time starts to stall
That's when all our tender memories, I start to recall

Its difficult to express a feeling, that does not exist
Like why I still live this life and continue to persist
Its because of hope, 'coz a meet with you I can't resist
Even if my fate is destined, I will continue to insist

And so I live in this world, upon the tiny thread of hope
Because us being together is the maximum of my scope
My struggle to reduce these distances I can't continue to cope
So the day I lose my belief, you will see me hanging by a rope

Aansoon

Yaadon main meri base ho tum
Ban gaye ho is dil ki tum sargam
Nazuk hai yeh bada, jaise koi kusum
Todo na isko, mera jahaan hai yeh gham

Tanhayee ke raaste par ab to sirf tu hai meri shab
Zindagi ke dorahe par kya saath dega mera woh rab?
Tera intezaar ban gaya hai, mere jeene ka sabab
Jo tum mil gaye to, bhool jaoonga main sab

Jeene ki aas ab to main, tumse lagaaye betha hoon
Is dil ka ehsaas, tumhari yaadon se lagaaye sehta hoon
Dard-e-dil ke zakhm, is duniya se chipaye rakhta hoon
Tasveer par teri, yeh apni zindagi bitaye rehta hoon

Issi tamanna ke naate jeeta hoon, ki kabhi phir milenge
Aur ab jo mile, to phir kisi haal mein na bichdenge
Par taqdeer ka kaha hai, yeh dard kabhi na bharange
Apni zindagi se maut tak, yeh aansoon behte rahenge...