Search Results

Thursday, April 19, 2007

Tanhayee

Tanhayee ke is safar mein
Kuch pal saath aap de gaye
Kismat thi jo phir chal diye
Warna bhool gaye the hum
Yeh tanhayee kya hoti hai

Khush-kismati thi yeh humari
Jo saath humara, aapne diya
Bebas chhod phir chal diye
Warna bhool gaye the hum
Yeh bewafai kya hoti hai

Kaafir bana main firta tha
Saath humara, aap de gaye
Akela chhod phir chal diye
Warna bhool gaye the hum
Pyar main ruswai kya hoti hai

Saanjh ke intezaar main tadapta tha
Do pal saath aap beth gaye
Phir ussi dhund main chhod chal diye
Warna bhool gaye the hum
Mohabbat main tabahi kya hoti hai

Friday, April 06, 2007

Sar Zameen

Aaj phir yaadein teri mujhe satane lagi
Aaj phir hawayein yeh kuch gungunane lagi
Aise main tera chehra mujhe kuch yun nazar aaya
Ek hi pal main jaise, mujhe meri zindagi nazar aane lagi

Meri chahat ki hai numaish ki andhero main chalna pade
Meri mohabbat ki hai aazmaish ki toofano se bhi ladna pade
Par hasi khushi teri khatir, main in sehraon mein chal padoon
Sabab ho agar yeh teri khushi ka, mile jo isse tujhe sukoon...

Chahe kitni hi phir yeh dooriyan kyun na ho,
Jo tum chaho to phir yeh sargoshiyan na ho
Bas ho apni khushiyan, aur yeh madhoshiyan
Un haseen palon main, yeh tanhaiyan na ho...

Yeh khamoshiyan teri, deti hain mujhe hosla
Yeh udasean meri, deti hain tujhe kya sila?
Meri to zindagi ab ho chuki hai teri sar zameen
Tujhe paane ke liye ab maut bhi lage mujhe badi haseen