Search Results

Monday, July 25, 2011

Bas Yun Hi

Bas yun hi humko tumse pyar ho gaya
Ab na jaane humko kya yaar ho gaya
Pal bhar pehle tak to tha woh yahin
Yun hi jaane kahan dil ka karaar kho gaya

Aitbaar karne ki bas ab hai mushkil
Kahe bin kahe tum par yeh marta hai dil
Zindagi main ab chahe phir jo bhi ho
Tum hi rahoge jaana ab iski manzil

Saath aage humko hai ab nibhaana
Ho chahe dushman phir yeh zamaana
Hai tum par ab mujhko itna yakeen
Tum bin na jee sakoonga meri jaana

Ittefaq se jo humko tum mil gaye
Honth humaare jo sil gaye
Chahat main tumhari aisa hoga meri jaan
Pal bhar main dono ke dil gaye