Search Results

Wednesday, August 30, 2006

Ankahee

Tujhe yaad kar, rota hai yeh dil
Haan kuch aise hue ho tum mujhme shaamil
Ab aur kuch mile na mile...
Teri saanson mein kar li hai yeh zindagi haasil

Waqt ne chahe humein kar diya alag ho...
Par dhoondna ho humein to apne hothon se pukar lo
Apni aankhon mein dekh lo...apni saanson mein naap lo
Apne dil mein jhaank lo, aur humein saamne paa lo...

Is rab se sirf yeh dua hai..
Kyun deta is dil ko yeh saja hai..
Shiqwa gile to karte hum tab usse...
Par yeh to zindagi maut ki wajah hai...

e yaar humein tu bhool na jaana...
Is duniya ke andhero main doob na jaana
Ehsaas jo diye hain tune is dil ko...
Inhe yahan chhod kar...ek ehsaan aur kar jaana

Judaai ka humein hai darr, khuda ka nahi
Ab humein akela na chhodna...
Warna reh jaayenge kuch baatein ankahee...

Zindagi

Zindagi ki majhdhar main toofan sa hai utar gaya
Is tej chalti raftar main...baarish ka paani hai bhar gaya
Par mili hai aaj humein phir jeene ki aas...
Haan mil gaya hai kisi ka vishwaas...

Bas dua hai ab to us khuda se, yeh vishwaas na toote,
Dekhe hain jo sapne, woh phir se na roothe...
Kyunki ab jo yeh sapne murjhaenge, hum jee na sakenge...
Haan is pyar main, hum yeh zindagi nyochavar kar denge

Ab to bas har lamha, mujhe tumhari yaad satati hai...
Kab tum apna banaoge...yeh sawaal yaad dilati hai...
Ab to intezaar hai bas tumhare jawaab ka...
Ya woh adhoore sapne aur us andehri raat ka...

Aaj kal yeh dil kuch soch hi kahaan paata hai...
Jahaan dekho wahin par tumhari tasveer banata hai...
Humne to suna tha ki log pyar main tabah hote hain...
Par hum to bina pyar ke hi tum par jaan nisaar karte hain

e khuda is zindagi ke liye kabhi tujhse nahi kuch maanga hai
Tune jo diya usse apne sar aankhon par vyara hai...
Par kya karein aaj yeh dil tujhse maange bina na rehta hai
Humein humari zindagi lauta de...usmein kahin koi rehta hai!!

Patthar Ke Phool

Beete hue lamhein phir yaad aayenge,
Ki kabhi to hum bhi, woh vaade nibhaaenge.
Kuch aise hi, dekhe the maine apne saare sapne,
Par kya pata tha, sab ho jaaenge dhoor apne...

Phir bhi dil ko kuch, aisi hi aas hai,
Tum aaoge ek din wapas, iska aabhaas hai.
Apna pyar hai sachcha, iska ehsaas hai,
Haan mujhko tum par, itna vishwaas hai.

Saath nibhaaenge jeevan bhar, kiya yeh humne vaada tha,
Par kya itna bhi, tumhare liye zyada tha?
Phir kyun tum mujhko yun, lahu mein besahara chhod aaye?
Jeevan bhar ka saath, kuch pal mein tod aaye?

Ab to tumhari yaadon mein, jab yeh aankhen bhar aati hain,
Inke har kan mein, tumhari yaadein bas jaati hain.
Ab to yeh dil sochta hai, kyun nahi di tumne koi wajah hai,
Yun patthar ke phool ban is dil ko dubokar, kyun tumne di yeh saza hai?