Search Results

Saturday, October 06, 2007

Wish

You came into my life as the only glimmer of hope
You showed me through your eyes, how easy life is to cope
The butterfly that points towards one's life's existence
Your crimson light shows the value of one's life through insistence

Your closeness to my soul brings a fresh aura into my life
Helping me survive my struggles, strive through my strife
You are the piece of gem that shines through your honesty
My very essence of life reflects within your modesty

Your importance to my survival is something I can't explain
Your support through these hardships is the only way I can sustain
Without you in my life, my life begins to shatter
As if my life and death, doesn't seem to matter

These barriers and limitations can be upheld if only you wanted
Our wants and wishes could come true if only you granted
My destination begins and ends whenever i see you
My only wish is to see us together and I hope it becomes true

Dasha

Aashiyaane ghum, teri yaad mein yeh dil tarasta hai
Kaanpte hain yeh kadam, jab bhi dekhte woh rasta hai
Jism-o-jaan main mere, teri rooh hai har jagah samaye hui
Har waqt kehti hai mujhse, kaash aa kar mujhe rulaye koi

Kashmakash hai meri, tumne kiya mujh par aitbaar kyun nahi
Agar chahat nahi thi, to phir iska izhaar kiya kyun nahi
Ab jab ho gaye hain hum ruswa, kya tumhe meri yaad aati hai?
Raaton ko sapno mein khwaab ban kar, kya yeh tumhe satati hai?

Mere ishq ka rutba, sarhade nahi pehchanta hai
Tumse hai mujhe pyar, bas yeh itna jaanta hai
Mere dil ke aashne main ab bhi tumhara nazariya hai
Chahe kitni hi mushkil phir yeh zindagi ki dagariya hai

Bebasi ka alam hai, tum bin jeeya na jaaye
Dekhoon jahan wahan dikhte hain tumhare saaye
Haan bas itna sa hai yeh meri mohabbat ka nasha
Maut se bhi badatar hai aisi zindagi ki dasha

Monday, August 13, 2007

Shades Of Blue

In the beautiful sky, among those 1000 shades of blue
I see a lucid, vivid picture that reminds me of only you
My dignity flows amongst your very essence of existence
My happiness - a relative term, depends on your loyal diligence

Meticulously sculptured, you are the talisman of divinity
When darkness falls, you are the light of my sanity
In this blind, faithless world, you are my realization of truth
Even after all these pains hurt, my only hope of soothe

Shimmering pearls fall through my eyes all the time
A treasure so worthless that its not even worth a dime
Yet they do contain all the good and bad memories we shared
All those times I lived and died when there was someone who cared

Everyday without you, I burn in a passive agony of fire
That slowly consumes me, flaring all I wish and desire
Yet till you are by my side, I shall continue to abide
For what happens with us, is something only you can decide

Thursday, July 26, 2007

Suroor

Saaki o mere...teri yaadon main tarasta hoon
Andheri in raaton mein...toofano main barasta hoon
Saazish hai yeh koi...jo tum humein yun tod gaye
Tanhayee mein, aatish main, bilakhta chhod gaye

Lahoo ke aansoo ab hum peeye ja rahe hain
Tadapte tumhari yaadon main, hum jeeye ja rahe hain
Saanjh savere yahi dhoondte phirte hai
Ki zindagi ki majdhaar main, phir kab humare raaste milte hai

In baarish ke motiyon main apni yaadein hain chhupi
Dard bhare nagme mere, inke girne ki aahat main hain sabhi
Tumhare intezaar main yeh baadalon main hai chhupe tabhi
Haan isi ke intezaar main hain hum, ek din aayega aisa kabhi

Meri zindagi ki aaftaab hai tumhari yeh khoobsurati
Aaghosh main hai humein leni, tumse nikle jo roshni
Tumhari saadgi ka aks meri zindagi ka noor hai
Tumhare bina jo hai ye bechaini, shayad yehi mera suroor hai

Friday, May 18, 2007

The Real Me

Ever felt cold, in the warmest of weathers?
Ever felt dead, within a living soul?
I have, 'coz my life serves no purpose
For the real me has long since gone

Pieces of rust are smothering me into ashes
Devouring on my realization of what's left of me
Monotony has surrounded my wishful remains
Smoldering what's left to cleanse my existence

My past is all that I leave behind
As I disperse into particles of dust
Caricatures of what's gone surrounds the air
While sculptures engrave my unwritten script

Defiance is a feature I sorely miss
As I come to terms with the reality
Inscriptions of the world are all I can follow now
For the real me has long since gone

Friday, May 04, 2007

Sarzish

Khuda tere hi vaaste
Main jeeye ja raha hoon
Diye hain jo tune woh raaste
Unhein liye ja raha hoon

Kya rishte kya naate
Sab tujh par hai qurbaan
Hain jo yeh tanha raatein
Na chodoonga inke koi nishaan

Akele hi aaye hain
Akele hi chal denge
Jo rishte na nibhaaye hain
Unse na ab tadpenge

Hothon ki larzish thi
Kashmakash yeh meri
Jo di yeh tumne sarzish thi
Hai ab meri zindagi andheri

Thursday, April 19, 2007

Tanhayee

Tanhayee ke is safar mein
Kuch pal saath aap de gaye
Kismat thi jo phir chal diye
Warna bhool gaye the hum
Yeh tanhayee kya hoti hai

Khush-kismati thi yeh humari
Jo saath humara, aapne diya
Bebas chhod phir chal diye
Warna bhool gaye the hum
Yeh bewafai kya hoti hai

Kaafir bana main firta tha
Saath humara, aap de gaye
Akela chhod phir chal diye
Warna bhool gaye the hum
Pyar main ruswai kya hoti hai

Saanjh ke intezaar main tadapta tha
Do pal saath aap beth gaye
Phir ussi dhund main chhod chal diye
Warna bhool gaye the hum
Mohabbat main tabahi kya hoti hai

Friday, April 06, 2007

Sar Zameen

Aaj phir yaadein teri mujhe satane lagi
Aaj phir hawayein yeh kuch gungunane lagi
Aise main tera chehra mujhe kuch yun nazar aaya
Ek hi pal main jaise, mujhe meri zindagi nazar aane lagi

Meri chahat ki hai numaish ki andhero main chalna pade
Meri mohabbat ki hai aazmaish ki toofano se bhi ladna pade
Par hasi khushi teri khatir, main in sehraon mein chal padoon
Sabab ho agar yeh teri khushi ka, mile jo isse tujhe sukoon...

Chahe kitni hi phir yeh dooriyan kyun na ho,
Jo tum chaho to phir yeh sargoshiyan na ho
Bas ho apni khushiyan, aur yeh madhoshiyan
Un haseen palon main, yeh tanhaiyan na ho...

Yeh khamoshiyan teri, deti hain mujhe hosla
Yeh udasean meri, deti hain tujhe kya sila?
Meri to zindagi ab ho chuki hai teri sar zameen
Tujhe paane ke liye ab maut bhi lage mujhe badi haseen

Wednesday, March 28, 2007

Late

Although we r away, our feelings r still together
And so even if I die today, our souls shall live forever
Our love is meant to be, this I shall forever continue to believe
Even if it takes my lifetime for you to come, I'll consider it my destiny

As the days pass by, my loneliness comes back haunting me
And the more I abide, the more the world keeps on taunting me
Yet it doesn't affect me because I know they will be ridiculed
For the day that you come back to me, they won't be daunting me

The scent of your beauty still resides within my heart
Making me rebel this world, hoping for a whole new start
But alas my efforts would be in vain, unless you come back
'Coz I can't exist without you, you are my soul's essential part

You have heard my pleadings, now I can only continue to wait
That one day you will be back, there won't be any more hate
People tell me that I'm wasting my life, that its all over
Yet I listen to my heart that you will be back, even if its too late...

Tuesday, March 27, 2007

Jeevan Ki Aas

Aaj phir sapno main, unki humein hai bahut yaad aayi
Unhi ki khatir, yeh aankhen aansoon bhi na baha paayi
Par kya karoon hai meri kashmakash ki unse keh na sakoon
Zindagi to zindagi, maut se bhi na hoga kam mera yeh junoon

Maangi thi chahat to mohalat humein mili
Chahi thi apni tabahi to shohrat humein mili
Aawargi se meri, mujhe zillat bhi mili
Phir akhir kyon e-khuda, mujhe unki mohabbat na mili

Gham unke jaane ka nahi, aas unke aane ki hai
Vishwaas unko paane ka nahi, saansein unhe dene ki hai
Jinke sahare jeete hain, unki nazron main zindagi kat jaane ki hai
Zindagi mein nahi to kya, maut se apni roohein nibhaane ki hai

Dard-e-dil ka haal bayaan kar paana nahi aasaan
Raeth ke tilo main jaise bhatak raha ho pyasa
Bas is umeed par jeeta, ki koi le chale kuen ke paas
Tum hoge woh, hai mujhe vishwaas, aur yehi hai mere jeevan ki aas

Monday, March 12, 2007

Qabool

Teri chahat ko samarpit meri yeh zindagi hai
Teri har aahat ko sunna, meri tishnagi hai
Teri muskurahaton ko dekhna, meri khush-naseebi hai
Teri yaadon ko sametna, haan yeh bhi meri bekhudi hai

Zindagi yeh aasaan nahi, tujh bin e humsafar
Deewangi ka nasha chaya hai, mujh par kuch is kadar
Mannat hai yeh meri, saath rahein hum zindagi bhar
Yaadon mein, khwabon mein tere, beet jaati hai sehar

Ek saaya sa hai mujh par, jo rakhta hai duur humko
Tumse is pyar ka zikr na kar paoon, pata hai yeh sabko
Isliye subah shaam yaad karta rehta hoon main us rab ko
Ki ab to tu hi bata de, mere humdam, mere shab ko

Is pyar ke ehsaas ka hai duniya main koi mool nahi
Yeh pyar hai meri saadgi, yeh koi shool nahi
Isse paana hai meri kashish, yeh koi maqbool nahi
Issi ki khatir mar jaoonga, phir chahe usse yeh qabool nahi

Hanging By A Rope

That beautiful glow that shines through your eyes
Resides within my memories, where my feelings arise
Yet every new day, comes with its own surprise
So now I'm waiting for the day, when it'll be my demise

For being without you, is like not being at all
Like walking on a cliff, only waiting to fall
Like the very moment when even time starts to stall
That's when all our tender memories, I start to recall

Its difficult to express a feeling, that does not exist
Like why I still live this life and continue to persist
Its because of hope, 'coz a meet with you I can't resist
Even if my fate is destined, I will continue to insist

And so I live in this world, upon the tiny thread of hope
Because us being together is the maximum of my scope
My struggle to reduce these distances I can't continue to cope
So the day I lose my belief, you will see me hanging by a rope

Aansoon

Yaadon main meri base ho tum
Ban gaye ho is dil ki tum sargam
Nazuk hai yeh bada, jaise koi kusum
Todo na isko, mera jahaan hai yeh gham

Tanhayee ke raaste par ab to sirf tu hai meri shab
Zindagi ke dorahe par kya saath dega mera woh rab?
Tera intezaar ban gaya hai, mere jeene ka sabab
Jo tum mil gaye to, bhool jaoonga main sab

Jeene ki aas ab to main, tumse lagaaye betha hoon
Is dil ka ehsaas, tumhari yaadon se lagaaye sehta hoon
Dard-e-dil ke zakhm, is duniya se chipaye rakhta hoon
Tasveer par teri, yeh apni zindagi bitaye rehta hoon

Issi tamanna ke naate jeeta hoon, ki kabhi phir milenge
Aur ab jo mile, to phir kisi haal mein na bichdenge
Par taqdeer ka kaha hai, yeh dard kabhi na bharange
Apni zindagi se maut tak, yeh aansoon behte rahenge...

Tuesday, February 27, 2007

Forever

Walking down the memory lane, your thoughts came flashing back at me
Of how I craved for your happiness, it was all I ever wanted to see
But I never realized that you wanted to go away, you wanted to be free
And now sadness is all around me for it has now become my destiny

Even if you left me for a moment, I used to go into a state of depression
Now that you have left me forever, my feelings don't even have an expression
Yet miracles do occur and its the sole reason why I am still alive
To depict to this world, how for you, I am willing to strive

Wherever I see, I always look into your face
Of how you left me alone, even without a trace
Yet even when miles apart, you will be within my soul
For being with you, has become my life's ultimate goal

With your smile, comes the beautiful sunrise
Yet without you in my life, comes my demise...
But I will continue to abide by your demeanor
Until the day I die, or till I live forever...

Thursday, February 22, 2007

Fariyaad

Jiske liye jeete hain, ussi ke haathon mar jaayenge
Khushiyan nahi to kya, ghamon ke dabaav se hi bhar jaayenge
Jis ehsaas par nyochavar hua hai yeh dil maula
Aaj unhi ki khatir, hum apna khoon bhi baha jaayenge

Jeete ji to nahi, maut se shayad apna milan ho
Roshni main nahi, shayad andhere main hi woh kiran ho
Jiski aas lagaaye betha hoon main zindagi bhar
Shayad us khuda ke paas hi meri kashmakash ka hal ho

Raeth ke mehelon jaisi hain meri sab khushiyan
Saagar ki lehron se inmein aa jati hain khamoshiyan
Jab se tum khafa ho kar gaye ho is zindagi se
Inmein basi hain sirf tumhari yaadein aur tanhaiyaan

Ab to jab talak rota hoon, bas mujhe tumhari yaad sataati hai
Bas yehi sochta rehta hoon, kab tak zindagi mera saath nibhaati hai
Jahaan dekhta hoon, bas tumhara chehra dikhayee padta hai
Kabhi to miloge tum, issi fariyaad par zindagi kat si jaati hai

Friday, February 16, 2007

Fighter

When we were together, you taught me joy and laughter
Now that you are gone, my life itself has become a laughter
Without you, desperation, frustration has taken over my existence
And now looking for you is my only aim, this is the only ordinance

Memories affluent of our old days, flow within my heart
Oh how i wish to god...if only we had a whole new start
But I know that lost time shall never come back
And so now, bitter realities I'm trying to hack

But alas, without you, my life is turning bleak
Lost in these memories, I'm growing weak
However, I won't give up till I find you again
Because the only hope of seeing you is keeping me sane

Now I see our memories spread like pebbles on the river floor
Drowning with the pressure, trying to get to the shore
But as these memories drown, it makes me feel lighter
And so I will reach the shore and will come out as a fighter...

Dard Bhare Nagme

Tujh bin in tanhaiyon ke bhanwar main phasa hoon
Tere pyar main unche sapno ko bhi liye kasa hoon
Vishwaas hai mujhe, tere jigar mein main hi basa hoon
Intezar par tera kehta hai mujhse, main hi teri saza hoon

Hui thi humse galtiyan...yeh mujhe kabool hai
Jee sakta hoon tum bin, yeh mera maqbool nahi
Ab mujhe andhero ke us par, roshni ki talaash hai
Is pyar main zindagi kya, maut ka bhi ehsaas nahi

Apne milan ko rokne ki chahe kitni bhi karle duniya saazish
Nahi rok paayegi, kyunki tum ban gaye ho meri zindagi ki aatish
Tum se hai meri zindagi, tumhi se hai meri roshni
Tum se hai meri bekhudi, tumhi se hai meri har khushi

Chahe apne beech ho saagar ki lehron ka faasla
Tumhein paane ki kashish mein main khounga nahi main honsla
Chahe hum na ho ab saath, par yeh yaadein ab bhi zinda hain
Dard bhare nagme hi sahi, par basa in mein bhi mera khuda hai...

Monday, February 12, 2007

Testify

Mystifying thoughts sustaining within my mind
Extravagant memories of yours, I continue to bind
Wondering what my life was, before you came to me
And now how everything has changed...you are my destiny

Aspirations of mine now cease to appear
Since that very day, when you had to disappear
Without you in my life, even death isn't a fear
And now i have to find you, taking even this world's jeer

We may be destinies apart, but our souls remain the same
And now my life without you, is like a photo without its frame
Like a human without his name, like a child without his game
Like a person without his fame, like a fire without its flame...

But don't you worry, I will survive
The reality of my life, I will defy
My search for you, I will justify
Giving this world, something to testify...

Saturday, February 03, 2007

Agwah

Is jeevan ka adhaar tum hi se hai
Is zindagi main aayi bahaar tum hi se hai
Jannat ka zameen par uphaar tum hi se hai
Haan mujhe bhi sirf pyar tum hi se hai

Toofano ki in lehron main, tum meri kashti ho
Khwabon mein, in aankhon main, sirf tum hi basti ho
Chahaton ke is aalam main, tum mera sab kuch ho
Ab jo nahi ho zindagi main, sochta hoon na ab kuch ho.

Par dil main ab bhi umeed hai ki aaogi tum ek din
Magar darr is baat ka hai ki kaise rahoon tab tak tum bin
Ab to bas yaad karta hoon jo humne saath beetaye the pal
Woh hansi khushi ke din, jab tum hui karti thi badi chanchal

Par hai yeh kaisi kashmakash, kahaan gaye woh nagme?
Ab to jab sochta hoon, bas yaad aate hai woh sadme
Jinse ho gayi hai meri yeh zindagi tabah
Aur jinne kar liya hai, meri khushiyon ko agwah

Sunday, January 21, 2007

Tumse Hai Chahat

Saanson main tum kuch is kadar sama gaye ho
Ki tumse doori ki soch se bhi yeh rooh kaanp jaati hai
Yaadon main aa kar is dil ko kuch aise behla jaati ho
Ki saanson mein mehak tumhari khushboo se aati hai

Tanha is safar main ab bas tumhara sahara hai
E-rab phir kyun tune cheena mujhse mera yaara hai
Mere hosho-hawaas par chaaya ab to mera dildaara hai
Woh pyar ka hai shola, suraj ki kirano se nikala ek angara hai

In andhero raaston par ab bhi kayi ujjale hai
Is dukh bhari zindagi main ab bhi kayi dilwale hai
Chahat bina chahe jeena nahi ho aasaan
Par sunle mere khuda, hum to maut ke bhi matwale hai

Aankhon se ashq motiyon jaise behte hai
Tum bin is zindagi main, hum kuch is kadar rehte hai
Ab to bas tumko itna sa kehne ki aas hai
Aaj bhi tumko chahte hai...hum bas itna kehte hai...

Tuesday, January 09, 2007

Humdard

Barishon ke baadal, jaise aasmaan main garajte rehte hain
Tum bin, in aankhon se aansoon bhi waise baraste rehte hain
Samundar ki lehrein, lehron par kashti, jaise chalti rehti hai
Tum bin, yeh zindagi bhi, kuch waise hi gujarti rehti hai

Viraan jungalo main hai jaise andhera basa
Teri yaadon ne hai kuch waise mujhe kasa.
Toofano ke bahaav main ho jaise koi saanp dasa
Tere zehreele pyar ka waise mujh par chaaya nasha

Lahoo behne ka kyon ho use koi gham
Jiske dil par laga hua ho koi zakhm.
Kya doge use tum koi khushi ya marham
Jiske dil ki koi chura gaya sargam.

To phir maut se woh kyun darte hain.
Jo zindagi par mar-gujarte hain
Phir zindagi main chahe sau dard hai
Magar mere e-khuda, tu to akhir humdard hai...

Wednesday, January 03, 2007

Set Us Free

Lost within my thoughts, tired of self-consciousness
Trying to unframe, just what is the mysteriousness
But alas, I only ended where I began
Seeing my dreams run away, that only hold you can

And so now I can see in only one direction
Where my love is only for your dedication
My life is all for your declaration
While all your miseries are, my suffocation

Now, only you can help me end this misery
By taking away this suffocation that resides within me
Helping us attain what we aspire to be
Oh and then that day, you shall set us free