Search Results

Saturday, November 29, 2008

Tera Pyar

Here's another poem I wrote years ago


Tumse hai pyar, yeh main nahi kehta
Phir bhi hoon tadapta, dard ko sehta
Badi mushkil se hoon, tere bina zinda rehta
Kya karoon - tere pyar ke nashe main hoon behta

Us pyar ke nashe main hoon main behka
Jise soch kar, mera dil hai dehka
Teri khushboo se, main hoon mehka
Jaise ki kaliyan khilne par, phool hai chehka

Kaisa yeh nasha hai, kaisa yeh khumaar hai
Aisa tera pyar hai, aayi jaise bahaar hai
Nahi inkaar hai, na ikraar hai
Ab to kuch keh de, dil yeh bekaraar hai

Tere bina ab yeh nahi jee paayega
Kyunki tera pyar, zindagi bhar satayega
Tere ishq main, yeh tadapta reh jaayega
Tere baare main hi sochta reh jaayega

No comments: