Another old poem but with a surprise at the end!
Jheelon ke us paar, nadiya ke aar-paar
Hai jahaan par pahaar do char
Wahaan hota hai viksit woh aakaar
Jise dekh aaye, mere jeevan main bahaar
Use dekh aaye, mere jeevan main khushiyaan
Jinhe dekh phuli na samaaye yeh kaliyaan
Tera intezaar karoon main utni sadiyaan
Jab tak chhod na de, chehchana saari chidiyaan
Tum bin, kaale megha, mere dil main bas jaaye
Aur sapno main bhi dikhe, mujhko tere hi saaye
Sooni waadiyon main jaise sarsarati hawaayein
Waise teri chahat main, bhatka main apni raahein
Apna milan hoga do saagaron ka takraav
Jismein na ho bikhraav, bas badta chale bahaav
Dhire-dhire chade hum, saare ke saare padaav
Taki rok sake na koi, chahe aaye kitne hi algaav
Banke rahe hum, lahoo ke woh do rang
Jo hain to alag-alag, par rehte hain sang-sang
Jinko dekh ho jaaye, saari duniya bhi dung
Kyunki dard kisi ko ho, zakhmi kisi ka ang
Sanam tumhare liye main, de doon kitni hi qurbani
Bas kar do tum mujh par, ek chhoti si meharbani
Na raho mujhse door, jaise koi anjaani
Aur maanlo tum, mujhko apna "Raja Hindustani"!
No comments:
Post a Comment