Search Results

Saturday, November 29, 2008

Aisa Kyun?

Another poem from the yesteryears...


Meri zindagi ki har-ek saans,
Kehti hai tu hai aas-paas
Aayegi ek din aur bujhaayegi meri pyaas,
Tab tak lagata rahoonga main teri hi aas

Kohinoor ka hira hai tu, sadaa ke liye
Tujhe dekhne ko hi to, hai yeh dil jiye
Gham ke aansoon, khushi-khushi piye,
Par dil pe lage ghaav, phir bhi na siye

Sapna sach ho mera, mile jo tera saath
Meri duniya main bahaar aaye jo ban jaaye apni baat
Ab to hai intezaar us din ka, jab milenge apne haath
Umeed hai ab nahi door hoga, chahe woh din ho ya raat

Tu jo kahe to tod laoon main woh chaand aur taare
Chahe kitne hi door ho ya chamke kitne hi woh sitare
Do jism ek ruuh ho jab mil jaaye dil hamare
Tera saath mile to rok doon, main barsaat ki bhi dhaare

Tu jo mere saath ho to toofano ko mein rok doon
Apne pyar ki taakat hai, jo duniya ko bhi tok sakoon
Tera saath mile jo mujhko, chod doon main sab sukoon
Phir bhi tu na paas aaye, hai aakhir aisa kyun?

No comments: