Yaadon main, sapnon main...mujhe har jagah hoti hai teri aahat
Na dekhoon tujhko to...hoti hai dil main ek ghabrahat
Teri dhadkanon main basi hai ab mere dil ki raahat...
Haan kuch aisi si hi hai, meri tere liye yeh chahat.
Pyar ka na koi khuda hai, na hi koi bhagvaan
Yeh to bas hai milan ek rooh ka...aur do insaan
Is chahat se hi to yeh duniya nahi hui hai sunsaan
Warna zindagi main hai kaunsi khushiyan, jinka karein hum gumaan?
Teri chahat main tabah hone ka mujhe darr nahi,
Akhir tere bina yeh zindagi waise bhi nahi hai sahi
Kisi din meri zindagi main chali aana kahin
Warna tere ghar par meri maut ka janaaza hoga tabhi
Teri chahaton ke samundar main mujhe doob jaana hai
Tere pyar se apni zindagi ko sajaana hai
Teri rooh ko khud mein kuch aise samaana hai
Ki apne pyar ke kisse is duniya ko sunana hai
Teri chahat mile to...kya roke humein phir yeh zamana hai?
Bas teri chahat mile to...mujhe khud ko bhool jaana hai...
Bas teri chahat mile to...mujhe khud ko bhool jaana hai...
No comments:
Post a Comment