Search Results

Friday, November 17, 2006

Aas

Dil se nikalti hai bas ek hi dua
Is zindagi se gham ho jaayein sab dhuan
Tere pyar mein main phir chahe ho jaoon tabah
Par apna vishwaas na tootne doonga, ki ik din aayegi subah

Tanhayion main gujarti hai yeh meri zindagi
Saari sarhadien par kar jaaye meri yeh diwangi
Us khuda se bhi lad padoon, hai aisi aawargi
Aisa junoon hai mujh par, kuch aisi hai teri bandagi.

Toofanon se jyada tez hai is pyar ki raftar
Samundar ke paani se jyada hai tumhare liye mera pyar
Tumhari khushiyon main ab bas gaya hai mera sansaar
Haan ab to meri zindagi ka tum ban gaye ho adhaar

Dard aur ghamon main meri hamesha dhali hai duniya
Lekin is zindagi main tumne bhar di kai khushiyan
Ab bin tumhare ek pal bhi main na jee sakoonga
Tumhari yaad main rota hoon aur bhi kai sadiyon tadpoonga

Tumhari nazron se hue hai kayi qatl-e-aam
Kitno ke sar kalam, kitno ka kaam tamaam
Ab chahe mera bhi ho aisa hi anjaam
Par aas lagaye bethoonga tumhari, main to har subah-shaam

No comments: