Saanson main tum kuch is kadar sama gaye ho
Ki tumse doori ki soch se bhi yeh rooh kaanp jaati hai
Yaadon main aa kar is dil ko kuch aise behla jaati ho
Ki saanson mein mehak tumhari khushboo se aati hai
Tanha is safar main ab bas tumhara sahara hai
E-rab phir kyun tune cheena mujhse mera yaara hai
Mere hosho-hawaas par chaaya ab to mera dildaara hai
Woh pyar ka hai shola, suraj ki kirano se nikala ek angara hai
In andhero raaston par ab bhi kayi ujjale hai
Is dukh bhari zindagi main ab bhi kayi dilwale hai
Chahat bina chahe jeena nahi ho aasaan
Par sunle mere khuda, hum to maut ke bhi matwale hai
Aankhon se ashq motiyon jaise behte hai
Tum bin is zindagi main, hum kuch is kadar rehte hai
Ab to bas tumko itna sa kehne ki aas hai
Aaj bhi tumko chahte hai...hum bas itna kehte hai...
2 comments:
good touching poem
thanks for the comment....glad u liked it :)
Post a Comment