Barishon ke baadal, jaise aasmaan main garajte rehte hain
Tum bin, in aankhon se aansoon bhi waise baraste rehte hain
Samundar ki lehrein, lehron par kashti, jaise chalti rehti hai
Tum bin, yeh zindagi bhi, kuch waise hi gujarti rehti hai
Viraan jungalo main hai jaise andhera basa
Teri yaadon ne hai kuch waise mujhe kasa.
Toofano ke bahaav main ho jaise koi saanp dasa
Tere zehreele pyar ka waise mujh par chaaya nasha
Lahoo behne ka kyon ho use koi gham
Jiske dil par laga hua ho koi zakhm.
Kya doge use tum koi khushi ya marham
Jiske dil ki koi chura gaya sargam.
To phir maut se woh kyun darte hain.
Jo zindagi par mar-gujarte hain
Phir zindagi main chahe sau dard hai
Magar mere e-khuda, tu to akhir humdard hai...
No comments:
Post a Comment