Search Results

Tuesday, April 15, 2008

Daraar

Humein ruksat kiya apni sar zameen se
Chhod chale majdhar mein is zindagi ko
Ittefaq hi hoga jo aaj bhi intezaar hai
Ki waqt woh lautega aur phir se aayegi bahaar

Ussi ke khwaabon main yeh mann kyun bhatakta hai
Dekhne ko use ek pal, yeh dil kyun tadapta hai
Jab zindagi se meri tum ja hi chuke ho
To yaadon mein teri yeh dard kyun rehta hai

Kehne ko to yun, akele hum jee bhi lenge
Judaai ke aansoon, hum pee bhi lenge
Tumse aitbaar na kiya, lekin yeh gham satayega
Issi kashish main, sarhadein hum see bhi lenge

Dard hai kuch dil mein jo tumhein bhoolane na dega
Jo beetaye the saath pal woh hamesha yaad aayenge
Phir chahe yeh dooriyan kabhi na khatam ho
Jo dil mein hai tumse daraar, yeh kabhi na mitegi

4 comments:

Anonymous said...

brilliant

last time i read i didnt had time to reply

kool-till-the-end said...

no probs mate!

i'm glad you like it!

Anonymous said...

kya hua himanshu bhai
u r alive or dead
nowadays not writin poems

ya phir tujhe aur koi mil gaye ?

kool-till-the-end said...

lol i'm still very much alive...just haven't had the time during summer (am in thailand)...will surely get back to poems once i'm back to usa :)