Search Results

Friday, April 06, 2007

Sar Zameen

Aaj phir yaadein teri mujhe satane lagi
Aaj phir hawayein yeh kuch gungunane lagi
Aise main tera chehra mujhe kuch yun nazar aaya
Ek hi pal main jaise, mujhe meri zindagi nazar aane lagi

Meri chahat ki hai numaish ki andhero main chalna pade
Meri mohabbat ki hai aazmaish ki toofano se bhi ladna pade
Par hasi khushi teri khatir, main in sehraon mein chal padoon
Sabab ho agar yeh teri khushi ka, mile jo isse tujhe sukoon...

Chahe kitni hi phir yeh dooriyan kyun na ho,
Jo tum chaho to phir yeh sargoshiyan na ho
Bas ho apni khushiyan, aur yeh madhoshiyan
Un haseen palon main, yeh tanhaiyan na ho...

Yeh khamoshiyan teri, deti hain mujhe hosla
Yeh udasean meri, deti hain tujhe kya sila?
Meri to zindagi ab ho chuki hai teri sar zameen
Tujhe paane ke liye ab maut bhi lage mujhe badi haseen

2 comments:

Anonymous said...

another nice work
:-)
dont know what else to say

kool-till-the-end said...

thanks bro...the fact that u commented will suffice really :)