Search Results

Wednesday, October 04, 2006

Saza

Is dil ki hai tu arzoo
Meri har saans se hai tu roobaroo
Is zindagi ki bas tu hai justajoo
Phir kyon hoon main, jab hai nahi tu.

Dhadkano main basi hai sirf teri tasveer
Phir bhi faasle hain aur hai yeh lakeer
Jise na paar kar paaye, hai aisi zanjeer
Phir kahaan ka main raanjha, kahaan ki tu heer.

Dooriyon ka dard nahi mujhe, ghamo ka ehsaas nahi
Tere bin jee sakoon, iska vishwaas nahi.
Tu jo nahi hai ab, mujhko hai aabhaas wohi
Tere bin mujhse jeeya na jaaye, hai yeh baat sahi.

Seene mein jo hai dil, ismein hai kuch dard chupa
Is dard main hai, mera tumhare liye pyar bicha
Par iska na ho kabhi tumhe ehsaas, aisi hai meri saza
Akhir aisi kya galti thi meri, koi bataye mujhe bhi wajah.

Ab in aansoo'on se meri zindagi kat jaayegi
Ghamon ke in baadalon se, sab khushiyan chhat jaayengi.

Ab intezaar rahega mujhko to tumhara sada
Kyunki tum bin ban gayi hai, yeh zindagi ek saza.

No comments: