I adore her, I admire her
I respect her, I desire her
I live for her, I aspire her
I yearn for her, oh I even perspire her!
I miss her when she isn't around
I crave for her when she is to be found
It hurts me to see her wound
Mess wid her, and u'll be left confound!
Honesty and care drip from her everywhere,
Ever so much, that I feel god's unfair!
She's so sweet that even cake tastes sour
Sweeter than honey that u can drink and pour!
Speaking of the truth, I'm not sure of my feeling
But if she isn't wid me, then I feel my heart's some1 stealing
To not be wid her, is like my whole world reeling
If this is what you call love...then yeah that's my current feeling! :)
Search Results
Tuesday, October 31, 2006
Wednesday, October 04, 2006
Apni Raahein
Teri yaad ab to mujhe itni aaye
Ki is dard se yeh khoon bhi paani ban jaaye
Jahaan dekhoon ab to, dikhe bas tere saaye
Haan kuch aise dard bhare nagme, is zindagi ne hain apnaye
Teri yaadon main ab to yeh dil hai aise khoya
Ki jeevan bhar ka hoga apna saath, aisa maine sapna sanjoya.
Tujhe dekh apni zindagi main khushiyon ka ped hai boya
Aayi jab teri yaad mujhe, main khoon bhare aansoon bhi roya.
Ab to meri zindagi ka har rang hai tujhse
Phir kyun tu chali gayi hai yun duur mujhse
Tu jo na mili to khafa rahoonga main khudse
Meri zindagi ki khushiyan bhi hongi mere dukh se.
Ab to raaton ko sona chahoon to teri yaad sataaye
Meri neend kahin ghum jaaye, jo teri yaad tadpaye
Zindagi bhar dhoondta rahoonga, ab to main tere saaye
Aur yaad karoonga woh din, jab milti thi apni raahein.

Saza
Is dil ki hai tu arzoo
Meri har saans se hai tu roobaroo
Is zindagi ki bas tu hai justajoo
Phir kyon hoon main, jab hai nahi tu.
Dhadkano main basi hai sirf teri tasveer
Phir bhi faasle hain aur hai yeh lakeer
Jise na paar kar paaye, hai aisi zanjeer
Phir kahaan ka main raanjha, kahaan ki tu heer.
Dooriyon ka dard nahi mujhe, ghamo ka ehsaas nahi
Tere bin jee sakoon, iska vishwaas nahi.
Tu jo nahi hai ab, mujhko hai aabhaas wohi
Tere bin mujhse jeeya na jaaye, hai yeh baat sahi.
Seene mein jo hai dil, ismein hai kuch dard chupa
Is dard main hai, mera tumhare liye pyar bicha
Par iska na ho kabhi tumhe ehsaas, aisi hai meri saza
Akhir aisi kya galti thi meri, koi bataye mujhe bhi wajah.
Ab in aansoo'on se meri zindagi kat jaayegi
Ghamon ke in baadalon se, sab khushiyan chhat jaayengi.
Ab intezaar rahega mujhko to tumhara sada
Kyunki tum bin ban gayi hai, yeh zindagi ek saza.

Tu
Is dil ki chah hai tu
Is dil ki jaan hai tu
Mera jahaan hai tu
Dekhoon jahaan hai tu
Socha jab, dekha bas tujhe...
Chaha tujhe, apnaya tujhe...
Waqt ne kiya par humein alag...
Ab dil karta hai bas tera hi sabab...
Jiya hoon tere naam se...
Maroonga tere naam se
Jaan hai tere naam ki...
Deewangi tere naam ki...
Zindagi se kuch manga to hai woh tu...
Meri khushiyan hai tu...mere gham bhi hai tu
Ab nahi tere bin is dil ko sukoon...
Haan ban gaya hai tu is dil ka junoon...
Tera saath, e khuda, maanga hai rab se...
Jism main rooh hai aayi..zindagi main tu jab se
Ab is pyar main, chahe takraav ho sab se
Par teri raah bichaye betha hoon...zindagi main kab se

Tumhari Yaad
Tumne kya socha tha dil se tumhari yaadein yun hi chat jaayengi
Humein jo chhod ke jaaoge, zindagi yun hi kat jaayegi?
Jo tumne humko chhoda, dil yeh bahut tadpega
Bin tumhare saath ke, na yeh ab to jeeyega.
Tumhari yaadon mein har pal tadpa hai yeh dil
Tum bin to hua hai, mera jeena bhi mushkil
Ab to aasoon se hi kat jaayegi yeh zindagi
Kyunki tu ban gayi hai, is dil ki tishnagi...bandagi...
Haan dard hoga humko itna...na seh paayenge
Ab is zakhm ke saath na tum bin hum reh paayenge
Is kadar chahta hai yeh dil bas ab tumko
Tadpayega, rulayega yeh dil ab humko.
In ghamon ki dhund main bas tum meri roshni ho
Zindagi ke bhavar main, meri akhiri umeed ho
Maut se woh darte hain, jinhe zindagi se kuch umeed ho
Par unhe kya darr maut se, jin ne khushi hi na kabhi dekhi ho
Tumne kya socha tha, sab vaade yun hi chhod jaaoge?
Humein besahara chhod kar, ek vaada bhi na nibhaoge?
Lekin, kiya maine bhi ek vaada tha...jisse main poora karoonga
Tum bin na jeeyoonga...tum par mar mitoonga...
Mujhko nahi pata ki kya tumhein is pyar ka ehsaas hai
Tum bin yeh zindagi hai asambhav, kya iska aabhaas hai
Haan lekin phir bhi, dil main bachchi bas ek hi aas hai
Zindagi hogi khatam...aaoge usse pehle...haan itna vishwaas hai

Subscribe to:
Posts (Atom)